Skip to main content

Posts

Showing posts from April, 2020

Homemade Pizza

Tawa Pizza  Ingredients :- Pizza Dough Maida 2cup (or 1 cup maida, 1 cup ata) Curd 1 cup 1/2 cup water 1,1/2 tbspn oil 1/2 tspn salt 1/2 tspn sugar Pizza sauce   1 tspn cumin seed 1 bowl onion 1,1/2 bowl tomato 1 tspn garlic cloves   1 tspn red chilli flakes 1, 1/2 oil Pizza toppings 1cup capsicum 1cup onion 1cup tomato (ap apke pasand ke aur bhi vegetables dal sakte ho) 500gm mozzarella cheese Method :- Making pizza dough 1.sabse pahle atta le usme salt, sugar, curd dale aur water(if required) dalke acchse soft dough taiyar kare aur2 hours ke liye rest hone rakh de2 hours ke baad phir ek loi le aur bele aur fork ke through mark kare aur oven mein 10 minutes ke liye oven mein bake kare 10 minutes baad oven se bahar nikal kar thanda hone rakh de Making pizza sauce 1.sabse pahle ek kadai le us mein oil, jeera, red mich aur garlic dale aur acchese fry kare  chopped onion, tomatoes dale aur acchese fry kare phir us mein vinegar, toamato sauce and soya s

Crispy Corn Cutlet

Crispy Corn Cutlet Ingredients :-   Corn 1,1/2 bowl Potato 1 bowl mashed Corn flour 1 tbspn Coriander leaves 1 tbspn Green chilli 1 tspn Red chilli powder 1 tspn Chaat masala 1 tspn Suji 1 tbspn Salt to taste Method :- 1.sabse pahle corn ko mixer mein pise le aur ek bowl mein nikal le phir us mein 1 mashed potato dale, 1 tbspn corn flour dale aur acchese mix kare 2.ab 1tspn green chilli, 1tspn red chilli, 1tspn chaat masala, salt dale aur mix kare 3.ab 1tbspn coriander leaves dale aur acchese mix kare 4.ab choti loi le aur usko apne pasand ka shape de aur ek taraf gas par oil garam hone rakha de, oil jaise hi garam hojaye toh phle cutlet ko corn flour ke ghol mein dip kare aur phir suji se coat kar ke oil mein deep fry kare aur ek plate mein nikal le 5.hamare tasty corn cutlet ban kar taiyar hai cutlets ko garama garam surve kare sauce ke sath. Agar apko meri recipe acchi lagi toh like, share, comment and follow Kare..

Bread Potato Rolls

Bread Potato Rolls Ingredients :- Bread 1 pack Potato 4 medium size mashed onion 1 chopped Coriander leaves 1 tbspn Green chilli chopped 1tspn chopped Ginger 1tspn chopped Chaat masala 1tspn   Red chilli powder 1 tspn Cumin (jeera) powder 1tspn Salt to taste Method :- 1. sabse pahle ek bowl le us mein mashed kiye hue aloo dale phir us mein 1 chopped onion, 1 tspn green chilli, 1tspn chopped ginger, 1 tspn red chilli powder, 1 tspn chaat masala,1 tspn jeera powder, salt aur 1 tbspn coriander leaves dal kar acchese mix kare 2. ab ek plate mein pani dale aur ek bread ka slice le bread ko pani mein dip kar ke pura gila kar le aur phir bread mein se pani acchi tarh se nikal le phir gile bread ke slice ko hath par rakhe aur us mein 1 spoon potato ka mixture dale aur bread ko acchese fold karte hue roll kare,aur bread ko acchese roll kare taki aloo ka mixture bahar na nikle 3. ab ek taraf gas par kadai rakhe aur oil garam hone rakh de, baki ke bread roll taiyar kar le

Aloo Suji French Fries

Aloo Suji French Fries Ingredients :-   1 cup suji 5 aloo 1 tspn Chaat masala 1 tspn chilli flakes 1 glass water 2 tbspn oil   Salt to taste Method :- 1. sabse pahle gas par pan rakhe us mein pani dale aur pani garam kare pani garam hone ke baad us mein salt and chaat masala aur chilli flakes dale aur phir us mein suji dale aur acchese mix kare suji pakne ke baad ek plate mein nikal le aur thanda hone de 2. jaise hi suji thandi hojaye us mein mashed aloo aur salt dal kar ek soft dough taiyar kare le aur thodi der rest karne ke liye rakh de 3. ab dough me se ek loi le aur usko roti ki tarah bele aur knife se lambe shape mein cut kar le 4. dusri taraf gas par pan rakhe us mein oil garam kare aur cut kiye hue fries ko oil mein crispy hone tak acchese fry kare aur phir fry hone ke baad plate mein tissue paper rakhe aur plate mein nikal le 5. ab hamara tasty french fries ban kar taiyar hai french fries ko sauce aur mayonnaise ke sath garama garam surve kare.. Agar a

Stuffed Onion Paratha

Stuffed Onion Paratha Ingredients :- 1 cup Wheat flour 1 Onion, chopped 1  Greenchilli, chopped 1 tspn Cumin seeds (jeera) 1 tbspn oil 1 tbspn Desi ghee 1 tspn Haldi 1 tspn Red chilli powder 1 tspn Garam masala 1 tspn Chaat masala 1/2 tbspn Coriander leaves, chopped Salt to taste Method :- 1. sabse pahle ek bowl mein aata le usme salt, oil and Pani dalke smooth dough taiyar kar le phr aate ko thodi der rest karne rakh de 2. ab ek pan ya kadai le usme 1tspn oil dale, oil jaise hi garam hojaye us mein 1tspn jeera dale jeera fry hone de 3. ab kadai mein chopped kiya hua 1 chopped greenchilli and 1 chopped onion dale aur fry kare 4. ab us mein 1 tspn haldi, 1 tspn mirchi, 1tspn garam masala, 1 tspn chaat masala, salt and 1/2 tbspn coriander leaves dalke thoda fry kare and mixture ko thoda thanda hone de 5. ab aate ki loi le aur roti ki tarah thoda bele phir us mein onion ka mixture dale aur roti ko acchese Charo taraf se fold karke band kar de

Pav-Bhaji

Pav-Bhaji Ingredients :- Potato 3 potato medium size, chopped Tomato 3 tomato medium size, chopped Carrot 1/2 bowl Peas (matar) 1/2 bowl Onion 1, chopped Capsicum 1, chopped Coriander leaves 1 tbspn Pav bhaji masala 3 tbspn Red chilli powder 1 tbspn Kashmiri red chilli powder 2 tbspn Oil 2 tbspn oil Ghee 2 tbspn oil Jeera 1 tspn Lemon 1 2 glass water 1 packet pav Salt to taste Method :- 1. sabse pahle gas par ek cooker rakhe us mein 1tbspn oil dale us mein 1 tspn jeera dale jeera fry hone de 2. ab cooker mein 1 tbspn pavbhaji masala dale, 1 tbspn red chilli powder dale phir us mein tomato dale aur mix kare phir 3 potato chopped kiye hue dale, 1/2 bowl carrot, 1/2 bowl peas dale aur 1tspn salt dal kar acchese mix kare phir 1 glass pani dal kar cooker ka dhakkan band Karde aur 2 whistle hone de, 2 whistle hone ke baad gas band Kar de 3. ab dusri taraf gas par ek kadai rakhe us mein 1 tbspn oil aur 2 tbspn ghee dale oil garam hojaye us mein ginger garlic p

Homemade Chocolate Cake

Chocolate Cake Ingredients :- Maida 2 cup Oil 1 cup Coco powder 1/2 cup Sugar 1 cup Curd (dahi) 1 cup Soda 1 tspn Baking soda 1/2 tspn Vanilla essence 1 tspn Milk (if required) 1/2 cup Ghee 1 tspn Chocolate syrup 1/2 cup Crushed chocolate 1/2 cup Method:- 1. sabse pahle ek bowl le us mein 2 cup maida, 1 cup Coco powder, 1 tspn soda, 1/2 tspn baking soda pahle acchese channi se chaan le aur phir mix Kare  2. ab ek bowl mein 1 cup oil, 1 cup dahi le aur acchese  mix kare phir us mein 1 cup sugar dale aur slowly slowly acchese mix kare 3. ab first bowl le jisme sare powder mix kiye hai us mein 2nd bowl wala mixture dhere dhere dale aur acchese mix kare 4. ab batter ko acchese mix karne ke baad us mein vanilla essence dale aur acchese mix kare 5. cake mold le us mein ghee lagaye phr thoda maida dust kare phir batter dale aur batter ko acchese set kare 6. ab pahle microwave ko 5 minutes garam Kare, microwave garam hone k baad cake ko microwave mein rakh

Homemade Chocolate Icecream

Chocolate Icecream Ingredients :-  1 litre Milk 1/2 cup Sugar 1/2 cup Coco Powder 1 tspn Vanilla Essence Method :-  1. sab se pahle gas par pan rakhe aur 1 liter milk boil Kare aur uski jo malai upar aati hai us malai ko alag se ek bowl mein nikal le phr atleats 1 bowl malai nikale milk mein 1/2 cup sugar dale aur ek choti katori mein thoda milk le aur us mein 1/2 cup coco powder mix kare aur usko garam milk mein mila de aur phr milk ko medium flame mein thick (gada) hone de uske baad milk ko room temperature pr thanda hone ke liye rakh de 2. milk thanda hone ke baad us mein 1 tspn vanilla essence mix kare and milk me se nikali hui malai bhi milk mein dal de aur acchese mix kar le uske baad mixer mein 4 se 5 baar milk ko pise jab tak milk thick and soft na hojaye, milk thick and soft hone ke baad ek container (box) le us mein mixture dale aur thik se box ko air tight pack kar de phir at least 6 hours ke liye box ko refrigerator mein rakh de thanda hone ke liye

3 Delicious Custard Shots & Fruit Custard

Delicious Custard Shots & Fruit Custard Ingredients :- 1 liter milk 3 tbspn custard powder 5 tbspn sugar 1 apple 1 tbspn Pomegranate 2 tbspn grapes 2 tbspn mango 2 tbspn Chocolate syrup 2 tbspn crushed Chocolate Method :-   1. sabse pahle ek liter milk ko garam kare phr ek choti katori mein thoda milk le us mein 3 tbspn custard powder dal kar acchse mix kare aur phr garam ho rahe milk mein dal de phr milk ko acchese boil hone de 2. Phir milk ko thodi der normal hone de aur phr refrigerator mein rakh thanda hone ke liye rakh de 3. 3 small glass le, 1st glass mein chocolate syrup dale phir custard milk dale phr us mein crushed biscuits dale aur upar se custard milk dale phr upar se crushed chocolate and chocolate syrup dale  4. 2nd glass mein phle chocolate syrup dale phr apple dale phr custard milk dale aur uske upar chocolate syrup dale  5. 3rd glass mein chocolate syrup dale phr custard milk dale aur phir mango dale phir custard milk dale upar se

Vegetable Pulao Recipe

Vegetable Pulao Ingredients :- 2 cup Basmati Rice 2 Onion, chopped  1 Potato chopped 3 medium size Tomato, chopped 1/4 cup Greean Peas (matar) 1/4 cup Carrot, chopped  1 tspn Black Pepper 2 small piece of Bay Leaf (tej patta) 2 small piece of Cinnamon 4 Cloves 2 Black and Grean Cardamom 2 Star Anise and Mace 1 tspn Garam Masala Powder 1 tspn Turmeric Powder 1/4 tspn Red Chilli Powder 1 tspn Ginger, Garlic paste 2 tbspn Coriander Leaves, chopped 2 tbspn Oil 1 tbspn Desi Ghee 1 cup of Water   1 tbspn Cumin Seeds (jeera)  1,1/2 tbspn Curry Leave 1 tbspn curd Salt to taste Method :- 1. sab se pahle rice ko acchese wash karke bhiga de 15 se 20 minutes k liye 2. 1 onion and 2 tomato ko mixer mein pise le aur gas par cooker rakhe us mein 2 tbspn oil and 1 tbspn desi ghee dale phir usme jeera, 1 tspn ginger, garlic paste and 1tbspn curry leaves dale aur fry kare 3. ab 1 chopped onion dale phir pisa hua onion and tomato ka paste dal ke acchese fry

Maggii with Punjabi tadka

Maggii in Punjabi style Ingredients :-  1 onion 1 capsicum 1 tomato 1 tbspn peas (matar) 1 tbspn carrot 1 tspn garlic chopped 1 tspn red chilli powder 1 tbspn coriander leaves 1 tspn maggii magic masala 1 tbspn butter (desi ghee) 1,1/2 tspn oil 2 red chilli 1 tspn cumin seeds (jeera) 1 glass water         Method :-                  1. sabse pahle sab vegetables ko wash kar ke chopped kar le 2. gas par pan rakhe 1 spoon oil dale, oil jaise hi garam hojaye oil mein jeera dale, phir chopped kiye hue onion, capsicum, tomato, carrot and matar dale aur sab sabjiyo ko fry kare 3. ab red chilli powder, garam masala aur maggii taste maker masala dale aur acchese mix kare, phir 1 glass water (pani) dale aur pani ko boil hone de 4. ab maggii dale aur 2 minutes k liye dhakkan dhak de, 2 minute ke baad maggii magic masala dale aur acchese mix kare aur maggii ko 2 minutes aur pakne de 5. dursi taraf ek

A simple poha cutlet recipe crispy & tasty

Poha  aloo cutlet  Ingredients :- 1,1/2 cup poha 3 potatoes, boiled and mashed 1 onion chopped 1/4 tsp haldi 1/2 tsp red chilli powder  1/2 tsp garam masala 1/2 tsp amchur powder 1/2 tsp chaat masala 1/2 ginger garlic paste 2 tbsp cornflour 1 tbsp salt 1 spoon lemon juice 2 tbsp coriander leaves, chopped 1 cup bread crumbs  Method :-   1. sabse pahle 1,1/2 cup pohe ko pani se acchi tarah wash kare and pohe mein se acchese Pani nikal le, phir pohe mein boil (mashed) kiye hue aaloo and chopped onion dalke acchi tarah se mix kare  2. ab us mein 1/4 haldi, 1/2 tsp chilli powder, 1/2 tsp garam masala, 1/2 tsp amchur powder, 1/2 chaat masala, 1/2 ginger garlic paste dale and 1 spoon lemon juice 3. ab us mein 1 tbsp cornflour, 1/2 tblsp salt, 2 tblsp coriander leaves (chopped) dale 4. ab sare ingredients ko acchi tarah se ek mix kare ek dough ke form 5. ek katori mein 1tsp cornflour, 1/2 tspn salt, water dalke ek ghol bana le 6. ab banaye hue dough se ch

Cup Cake

Chocolate Cup Cake This cake was sent home from our children's school. This is the simplest, best tasting cake I have ever made.  Great for making with kids, especially for cupcakes. Ingredients :- 1pack of Parle-G Biscuit 1small spoon sugar 1/2 table spoon soda 1 spoon coco powder       1 spoon butter 2 cup hot milk 1 chocolate 3 spoon chocolate syrup [2cups, pan, stand(steal cooking ware steaming) , bowl, spoon] Method :- 1. Sabse pahle biscuit ko mixture ke jar mein crush kar le, phir biscuit ke powder  ko ek bowl mein nikal le usme soda,sugar, coco powder bhi dale aur acchi tarah se mix kare phir dudh ko garam kare aur garam dudh ko dhere dhere bowl mein dale aur acchi tarah mix kare aur ek smooth batter taiyar kare  2. Gas par Pan rakhe, pan ke andar stand rakhe aur pan ko 5minutes garam hone de, phir cup mein butter lagaye, phr cup mein thoda batter dale phr thoda chocolate syrup dale aur phir se upar se batter dale aur phir