Skip to main content

Homemade Pizza

Tawa Pizza 


Ingredients :-
Pizza Dough
  • Maida 2cup (or 1 cup maida, 1 cup ata)
  • Curd 1 cup
  • 1/2 cup water
  • 1,1/2 tbspn oil
  • 1/2 tspn salt
  • 1/2 tspn sugar
Pizza sauce 
  • 1 tspn cumin seed
  • 1 bowl onion
  • 1,1/2 bowl tomato
  • 1 tspn garlic cloves 
  • 1 tspn red chilli flakes
  • 1, 1/2 oil
Pizza toppings
  • 1cup capsicum
  • 1cup onion
  • 1cup tomato (ap apke pasand ke aur bhi vegetables dal sakte ho)
  • 500gm mozzarella cheese
Method :-
Making pizza dough
1.sabse pahle atta le usme salt, sugar, curd dale aur water(if required) dalke acchse soft dough taiyar kare aur2 hours ke liye rest hone rakh de2 hours ke baad phir ek loi le aur bele aur fork ke through mark kare aur oven mein 10 minutes ke liye oven mein bake kare 10 minutes baad oven se bahar nikal kar thanda hone rakh de
Making pizza sauce
1.sabse pahle ek kadai le us mein oil, jeera, red mich aur garlic dale aur acchese fry kare  chopped onion, tomatoes dale aur acchese fry kare phir us mein vinegar, toamato sauce and soya sauce dale aur mix kare phir red chilli powder aur salt dale aur acchese thick hone tak pakaye uske baad mixture ko thanda hone de phir mixer mein pise le aur ek bowl mein nikal le
Making Pizza
1.sabse pahle tawa garam kare us mein oil dale aur phir pizza base le base ko front side se seke and phir front side par pizza sauce spread kare and us par onion, capsicum and tomato dale cheese grate kare
2.ab upar se pepper and chilli flakes dale aur tave par rakhe aur dhak de 2 minutes ke liye, 2minutes ke baad pizza ko tawe par se plate mein nikal le aur slice kar le 
3.ab hamara delicious pizza ban kar taiyar hai khane ke liye pizza ko garama garam surve kare..
Note :- Pizza base bana na bahot hi easy hai base ko ya toh ap ghr par hi bana sakte hai ya toh phir market se ready made bhi la sakte hai.
Agar apko meri recipe pasand aai toh like, share, comment and follow kijiye..







Comments

Popular posts from this blog

Vegetarian Chinese Samosa

Chinese Samosa The crispy outer covering with spicy filling adds to the crunch for a tea-time breakfast.. Ingredients :- Ingredients for Samosa dough 2 cups whole wheat flour or (1 cup maida , 1 cup atta) 1 pinch of salt 1/4 cup oil 1 glass water Ingredients for the chinese filling 1 cup rice noodles (thin), cooked 2 carrots, chopped 12 green beans (French beans) 1 Green capsicum chopped 1/2 cup cabbage, chopped 2 inch ginger, grated 3 cloves garlic, chopped 1 Green chilli, chopped 3 spring onion greens, chopped 1 teaspoon sweet and spicy red chilli sauce (tomato chili sauce) salt to taste 1 tspn black pepper powder Method :- Prepare the dough 1.sabse pahle ek bowl le us mein 1 cup maida and 1 cup atta le us mein salt, ajwain and oil dale aur pani dalte hue ek smooth dough taiyar kare aur dough ko rest karne rakh de Prepare the noodles 1.ek pan le Us mein oil dale, oil garam hone ke baad ginger, garlic and onion dal Kar fry kare 2.ab carrot, caps...

2 types of Idli Recipe

Idli Upma A quick way to use up leftover idlis, it can be served for breakfast or snack. It tastes delicious and is easy to make.. Ingredients :- 5-6 idli 1 tbspn oil 1/2 tspn mustard seed   1/2 tspn urad dal 5-6 Curry leaves 1 red dry chilli chopped 1 green chilli chopped 1 tspn turmeric powder 1/4 onion chopped 1/4 tomato chopped 2 tbspn coriander leaves chopped   1tspn grated coconut Method :- 1.sabse pahle 5-6 idlis le aur idlis ko crushed kar le 2.ab ek pan le us mein 1 tbspn oil dale phir us mein 1/2 tspn mustard seeds and 1/2 tspn cumin seeeds dale aur crakle hone de 3.ab 1/2 tspn urad dal dale and golden brown hone de phir mix kare 4.ab 1 red dry chilli and 1 green chilli and 1 tspn turmeric powder dale and mix kare 5.ab 1 tspn chopped onion and 1 tspn tomato dale and salt dal kar mix kare 6.ab 2tbspn coriander leaves dale and mix Kare 7.ab grated coconut dale and mix karke garama garam surve kare Idli Manchurian Ingredients...

Stuffed Onion Paratha

Stuffed Onion Paratha Ingredients :- 1 cup Wheat flour 1 Onion, chopped 1  Greenchilli, chopped 1 tspn Cumin seeds (jeera) 1 tbspn oil 1 tbspn Desi ghee 1 tspn Haldi 1 tspn Red chilli powder 1 tspn Garam masala 1 tspn Chaat masala 1/2 tbspn Coriander leaves, chopped Salt to taste Method :- 1. sabse pahle ek bowl mein aata le usme salt, oil and Pani dalke smooth dough taiyar kar le phr aate ko thodi der rest karne rakh de 2. ab ek pan ya kadai le usme 1tspn oil dale, oil jaise hi garam hojaye us mein 1tspn jeera dale jeera fry hone de 3. ab kadai mein chopped kiya hua 1 chopped greenchilli and 1 chopped onion dale aur fry kare 4. ab us mein 1 tspn haldi, 1 tspn mirchi, 1tspn garam masala, 1 tspn chaat masala, salt and 1/2 tbspn coriander leaves dalke thoda fry kare and mixture ko thoda thanda hone de 5. ab aate ki loi le aur roti ki tarah thoda bele phir us mein onion ka mixture dale aur roti ko acchese Charo taraf se fold karke band kar...