Skip to main content

Stuffed Onion Paratha

Stuffed Onion Paratha


Ingredients :-
1 cup Wheat flour
1 Onion, chopped
1  Greenchilli, chopped
1 tspn Cumin seeds (jeera)
1 tbspn oil
1 tbspn Desi ghee
1 tspn Haldi
1 tspn Red chilli powder
1 tspn Garam masala
1 tspn Chaat masala
1/2 tbspn Coriander leaves, chopped
Salt to taste
Method :-
1. sabse pahle ek bowl mein aata le usme salt, oil and Pani dalke smooth dough taiyar kar le phr aate ko thodi der rest karne rakh de
2. ab ek pan ya kadai le usme 1tspn oil dale, oil jaise hi garam hojaye us mein 1tspn jeera dale jeera fry hone de
3. ab kadai mein chopped kiya hua 1 chopped greenchilli and 1 chopped onion dale aur fry kare
4. ab us mein 1 tspn haldi, 1 tspn mirchi, 1tspn garam masala, 1 tspn chaat masala, salt and 1/2 tbspn coriander leaves dalke thoda fry kare and mixture ko thoda thanda hone de
5. ab aate ki loi le aur roti ki tarah thoda bele phir us mein onion ka mixture dale aur roti ko acchese Charo taraf se fold karke band kar de phir se sukha aata lagake roti ki tarah bele round shape mein ab ek pan le usko thoda garam hone de phir parathe ko pan par dale aur oil ya ghee lagake dono taraf se golden brown hone tak seke aur phir plate mein nikal le
6. ab hamara tasty onion stuffed paratha ready hai khane ke liye, parathe ko garama garam sauce ke sath surve kare.
Agar apko meri recipe acchi lagi toh like, share and comment kare..

Comments

Post a Comment

If you have any doubts, Please let me know

Popular posts from this blog

Maggii with Punjabi tadka

Maggii in Punjabi style Ingredients :-  1 onion 1 capsicum 1 tomato 1 tbspn peas (matar) 1 tbspn carrot 1 tspn garlic chopped 1 tspn red chilli powder 1 tbspn coriander leaves 1 tspn maggii magic masala 1 tbspn butter (desi ghee) 1,1/2 tspn oil 2 red chilli 1 tspn cumin seeds (jeera) 1 glass water         Method :-                  1. sabse pahle sab vegetables ko wash kar ke chopped kar le 2. gas par pan rakhe 1 spoon oil dale, oil jaise hi garam hojaye oil mein jeera dale, phir chopped kiye hue onion, capsicum, tomato, carrot and matar dale aur sab sabjiyo ko fry kare 3. ab red chilli powder, garam masala aur maggii taste maker masala dale aur acchese mix kare, phir 1 glass water (pani) dale aur pani ko boil hone de 4. ab maggii dale aur 2 minutes k liye dhakkan dhak de, 2 minut...

Maharashtrian kakdi Thalipeeth

Maharashtrian Kakdi  Thalipeeth A healthy morning or evening breakfast recipe that is made with various flours like wheat flour, gram flour and rice flour and fresh grated cucumber. This flat Indian bread can be served with pickle, chutney or raita with simple everyday spices, green chillies and garlic. Ingredients :- 1/2 cup gram flour (gram flour) 1/2 cup whole wheat flour 1/4 cup rice flour 1 cucumber, peeled and grated 1 tspn turmeric powder 1 tspn cumin powder 1 tspn Carom seeds (ajwain) 1 tspn Cumin Powder 1 tspn red chilli powder 2 Green Chillies, finely chopped 1/2 cup coriander leaves, chopped 5 cloves garlic, finely chopped, salt to taste ghee for thalipeth Method :- 1.sabse pahle cucumber ko grate kar le aur uska pani acchese nikal le 2.ab ek big bowl le aur sare aate ko bowl mein mix kar le 3.ab aate mein grate kiye hue cucumber, turmeric powder, cumin powder, ajwain, red chilli powder, green chillies, coriander leaves, salt sab acchese mix k...

Katori Chaat Recipe

Katori Chaat Ingredients :- For Katori 2 cup maida 1/2 tspn salt   2 tbspn oil oil for frying water For Katori Chaat   1 cup chana, boiled 1 potato, boiled and chopped in a cube shape 1/4 cup green chilli chutney 1 cup moong dal sprouts 1/2 cup tamarind chutney 1 cup curd 1 tspn red chilli powder 1 tspn cumid powder 1 onion, chopped 1 tomato, chopped 1/2 cup sev 1 tbspn coriander leaves, chopped 1 tspn chaat masala 1 tspn salt Method :- 1. sabse pahle 1 bowl le us mein maida, salt aur oil dal kar ek soft dough taiyar kar le aur thode der ke liye rest karne rakh de 2. ab thoda ata le aur aate ko roti ki tarah bele aur fork se marks kare phir ek medium size ki katori le aur bahar ki taraf se katori ko aate se acchese cover kare aur gas par kadai mein oil garam kare and katori ko oil mein  deep fry hone ke liye dal de acchese fry hone ke baad katori ko bahar nikal le aur  andar ki taraf se bhi fry kar le aur acchese oil nikal ke tis...