Skip to main content

Bread Potato Rolls

Bread Potato Rolls


Ingredients :-
  • Bread 1 pack
  • Potato 4 medium size mashed
  • onion 1 chopped
  • Coriander leaves 1 tbspn
  • Green chilli chopped 1tspn chopped
  • Ginger 1tspn chopped
  • Chaat masala 1tspn
  •  Red chilli powder 1 tspn
  • Cumin (jeera) powder 1tspn
  • Salt to taste
Method :-
1. sabse pahle ek bowl le us mein mashed kiye hue aloo dale phir us mein 1 chopped onion, 1 tspn green chilli, 1tspn chopped ginger, 1 tspn red chilli powder, 1 tspn chaat masala,1 tspn jeera powder, salt aur 1 tbspn coriander leaves dal kar acchese mix kare
2. ab ek plate mein pani dale aur ek bread ka slice le bread ko pani mein dip kar ke pura gila kar le aur phir bread mein se pani acchi tarh se nikal le phir gile bread ke slice ko hath par rakhe aur us mein 1 spoon potato ka mixture dale aur bread ko acchese fold karte hue roll kare,aur bread ko acchese roll kare taki aloo ka mixture bahar na nikle
3. ab ek taraf gas par kadai rakhe aur oil garam hone rakh de, baki ke bread roll taiyar kar le aur phir jaise hi oil garam hojaye slowly slowly bread roll ko kadai mein dal kar deep fry kare and crispy hone tak fry kare, fry hone ke baad ek plate mein tissue paper rakh kar nikal le
4. ab hamara tasty bread rolls taiyar hai khane ke liye bread rolls ko garama garam surve kare tomato sauce ke sath.
Agar apko meri recipe acchi lagi toh like, share, comment and follow kare..




Comments

Post a Comment

If you have any doubts, Please let me know

Popular posts from this blog

Maggii with Punjabi tadka

Maggii in Punjabi style Ingredients :-  1 onion 1 capsicum 1 tomato 1 tbspn peas (matar) 1 tbspn carrot 1 tspn garlic chopped 1 tspn red chilli powder 1 tbspn coriander leaves 1 tspn maggii magic masala 1 tbspn butter (desi ghee) 1,1/2 tspn oil 2 red chilli 1 tspn cumin seeds (jeera) 1 glass water         Method :-                  1. sabse pahle sab vegetables ko wash kar ke chopped kar le 2. gas par pan rakhe 1 spoon oil dale, oil jaise hi garam hojaye oil mein jeera dale, phir chopped kiye hue onion, capsicum, tomato, carrot and matar dale aur sab sabjiyo ko fry kare 3. ab red chilli powder, garam masala aur maggii taste maker masala dale aur acchese mix kare, phir 1 glass water (pani) dale aur pani ko boil hone de 4. ab maggii dale aur 2 minutes k liye dhakkan dhak de, 2 minut...

Maharashtrian kakdi Thalipeeth

Maharashtrian Kakdi  Thalipeeth A healthy morning or evening breakfast recipe that is made with various flours like wheat flour, gram flour and rice flour and fresh grated cucumber. This flat Indian bread can be served with pickle, chutney or raita with simple everyday spices, green chillies and garlic. Ingredients :- 1/2 cup gram flour (gram flour) 1/2 cup whole wheat flour 1/4 cup rice flour 1 cucumber, peeled and grated 1 tspn turmeric powder 1 tspn cumin powder 1 tspn Carom seeds (ajwain) 1 tspn Cumin Powder 1 tspn red chilli powder 2 Green Chillies, finely chopped 1/2 cup coriander leaves, chopped 5 cloves garlic, finely chopped, salt to taste ghee for thalipeth Method :- 1.sabse pahle cucumber ko grate kar le aur uska pani acchese nikal le 2.ab ek big bowl le aur sare aate ko bowl mein mix kar le 3.ab aate mein grate kiye hue cucumber, turmeric powder, cumin powder, ajwain, red chilli powder, green chillies, coriander leaves, salt sab acchese mix k...

Katori Chaat Recipe

Katori Chaat Ingredients :- For Katori 2 cup maida 1/2 tspn salt   2 tbspn oil oil for frying water For Katori Chaat   1 cup chana, boiled 1 potato, boiled and chopped in a cube shape 1/4 cup green chilli chutney 1 cup moong dal sprouts 1/2 cup tamarind chutney 1 cup curd 1 tspn red chilli powder 1 tspn cumid powder 1 onion, chopped 1 tomato, chopped 1/2 cup sev 1 tbspn coriander leaves, chopped 1 tspn chaat masala 1 tspn salt Method :- 1. sabse pahle 1 bowl le us mein maida, salt aur oil dal kar ek soft dough taiyar kar le aur thode der ke liye rest karne rakh de 2. ab thoda ata le aur aate ko roti ki tarah bele aur fork se marks kare phir ek medium size ki katori le aur bahar ki taraf se katori ko aate se acchese cover kare aur gas par kadai mein oil garam kare and katori ko oil mein  deep fry hone ke liye dal de acchese fry hone ke baad katori ko bahar nikal le aur  andar ki taraf se bhi fry kar le aur acchese oil nikal ke tis...