- Potato 3 potato medium size, chopped
- Tomato 3 tomato medium size, chopped
- Carrot 1/2 bowl
- Peas (matar) 1/2 bowl
- Onion 1, chopped
- Capsicum 1, chopped
- Coriander leaves 1 tbspn
- Pav bhaji masala 3 tbspn
- Red chilli powder 1 tbspn
- Kashmiri red chilli powder 2 tbspn
- Oil 2 tbspn oil
- Ghee 2 tbspn oil
- Jeera 1 tspn
- Lemon 1
- 2 glass water
- 1 packet pav
- Salt to taste
1. sabse pahle gas par ek cooker rakhe us mein 1tbspn oil dale us mein 1 tspn jeera dale jeera fry hone de
2. ab cooker mein 1 tbspn pavbhaji masala dale, 1 tbspn red chilli powder dale phir us mein tomato dale aur mix kare phir 3 potato chopped kiye hue dale, 1/2 bowl carrot, 1/2 bowl peas dale aur 1tspn salt dal kar acchese mix kare phir 1 glass pani dal kar cooker ka dhakkan band Karde aur 2 whistle hone de, 2 whistle hone ke baad gas band Kar de
3. ab dusri taraf gas par ek kadai rakhe us mein 1 tbspn oil aur 2 tbspn ghee dale oil garam hojaye us mein ginger garlic paste dale, 1 chopped onion, 1 chopped capsicum dale aur mix kare phir us mein pavbhaji masala, kashmiri red chilli powder, salt dale aur thoda Pani dal kar mix Kare aur pakne de
4. ab cooker open kare aur sabjiyi ko potato masher se acchese mash kar le phr sari sabjiyo ko kadai mein dal de aur half lemon bhi dale phir sabji ko acchese pakne de thick hone tak aur Hume sabijo ki consistency medium hi rakhni hai jab oil upar dikhne lage matlab hamari sabji taiyar ho chuki hai ab us mein chopped coriander leaves dal de
5. ab ek tawa le us mein ghee dale aur pav ko bich mese cut kare aur dono side se pav ko acchese sek le phir ek plate mein pav rakhe, sabji dale uske upar ghee dale aur sath mein onion aur lemon rakh Kar pavbhaji ko garama garam survey Kare..
Agar apko meri recipe acchi lagi to like, share, comment and follow Kijiye..
Yummy😍
ReplyDeleteThank you 😊
DeleteKya baat hai pav bhaji 💯👌😋
ReplyDeleteThank you 😊
DeleteNice recipe di
ReplyDeleteThank you 😊
Delete